mere apnon ko bas ye khal raha tha
mire apnoñ ko bas ye khal rahā thā
mire pīchhe zamāna chal rahā thā
lahū kī bū mahal se aa rahī hai
yahāñ shāyad kabhī maqtal rahā thā
parindo haq se baiTho buildiñgoñ par
ki pahle is jagah jangal rahā thā
likhā thā bevafā ik baar mujh ko
so us kā haath barsoñ shal rahā thā
tirī dastār uchhlī ab moallim
kabhī juutā tirā afzal rahā thā
dhueñ kī lahr thī kuchh hī chhatoñ par
magar andar se har ghar jal rahā thā
'nabīl' us se chalo dānā.ī sīkheñ
vahī jo muddatoñ pāgal rahā thā
mere apnon ko bas ye khal raha tha
mere pichhe zamana chal raha tha
lahu ki bu mahal se aa rahi hai
yahan shayad kabhi maqtal raha tha
parindo haq se baiTho buildingon par
ki pahle is jagah jangal raha tha
likha tha bewafa ek bar mujh ko
so us ka hath barson shal raha tha
teri dastar uchhli ab moallim
kabhi juta tera afzal raha tha
dhuen ki lahr thi kuchh hi chhaton par
magar andar se har ghar jal raha tha
'nabil' us se chalo danai sikhen
wahi jo muddaton pagal raha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.