mere arman mayusi ke pale paDte jate hain
mire armān māyūsī ke paale paḌte jaate haiñ
tumhārī chaah meñ jiine ke laale paḌte jaate haiñ
udhar us kī sharārat jis ne ġham kī aag sulgā dī
idhar merā kaleja jis meñ chhāle paḌte jaate haiñ
mire un ke ta.alluq par koī ab kuchh nahīñ kahtā
ḳhudā kā shukr sab ke muñh meñ taale paḌte jaate haiñ
ġham-e-nākāmī-e-koshish se hālat bigḌī jaatī hai
kaleje meñ yahāñ be-āg chhāle paḌte jaate haiñ
hamārā dard āh-e-dil mazā detā hai uḌ uḌ kar
tumhāre chāñd se chehre pe haale paḌte jaate haiñ
masīhā jā rahā hai dauḌ kar āvāz do 'muztar'
ki dil ko dekhtā jā jis meñ chhāle paḌte jaate haiñ
mere arman mayusi ke pale paDte jate hain
tumhaari chah mein jine ke lale paDte jate hain
udhar us ki shararat jis ne gham ki aag sulga di
idhar mera kaleja jis mein chhaale paDte jate hain
mere un ke talluq par koi ab kuchh nahin kahta
KHuda ka shukr sab ke munh mein tale paDte jate hain
gham-e-nakaami-e-koshish se haalat bigDi jati hai
kaleje mein yahan be-ag chhaale paDte jate hain
hamara dard aah-e-dil maza deta hai uD uD kar
tumhaare chand se chehre pe haale paDte jate hain
masiha ja raha hai dauD kar aawaz do 'muztar'
ki dil ko dekhta ja jis mein chhaale paDte jate hain
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 371)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.