mere ashkon ki tughyani se pahle
mire ashkoñ kī tuġhyānī se pahle
ravāñ kashtī na thī paanī se pahle
tarastī thiiñ nigāheñ raushnī ko
charāġh-e-bazm-e-insānī se pahle
taḌaptā thā sarāpā dard ban kar
chaman merī nigahbānī se pahle
kise hāsil thī ḳhushbū āfiyat kī
hamārī bū-e-sultānī se pahle
lahū insāniyat ke bah rahe the
mohabbat kī jahāñbānī se pahle
na sar-chashma thā koī zindagī kā
mire dariyā kī tuġhyānī se pahle
sahar be-nūr thī duniyā-e-dil kī
mire sūraj kī tābānī se pahle
zuleḳhā-e-ġhazal thī ḳhuub lekin
adab ke yūsuf-e-sānī se pahle
'azīz' us par hai rab kī ḳhaas rahmat
jo dil jhuktā hai peshānī se pahle
mere ashkon ki tughyani se pahle
rawan kashti na thi pani se pahle
tarasti thin nigahen raushni ko
charagh-e-bazm-e-insani se pahle
taDapta tha sarapa dard ban kar
chaman meri nigahbani se pahle
kise hasil thi KHushbu aafiyat ki
hamari bu-e-sultani se pahle
lahu insaniyat ke bah rahe the
mohabbat ki jahanbani se pahle
na sar-chashma tha koi zindagi ka
mere dariya ki tughyani se pahle
sahar be-nur thi duniya-e-dil ki
mere suraj ki tabani se pahle
zuleKHa-e-ghazal thi KHub lekin
adab ke yusuf-e-sani se pahle
'aziz' us par hai rab ki KHas rahmat
jo dil jhukta hai peshani se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.