mere azab ki pur-kaif raat KHatm hui
mire 'azāb kī pur-kaif raat ḳhatm huī
sahar kī baat chhiḌī thī so baat ḳhatm huī
bikharte TūTte lamhāt kyā gila karte
fasāna ban ke musalsal hayāt ḳhatm huī
phir aaj rah gayā kaasa faqīr kā ḳhālī
mazār-e-ḳhās tak aa kar barāt ḳhatm huī
mujhe yaqīn hai baaqī rahegī duniyā meñ
unheñ gumāñ hai ki insāñ kī zaat ḳhatm huī
har ek baat kī 'bebāk' sharh mushkil hai
ḳhayāl-e-yār kī pahlī sī baat ḳhatm huī
mere 'azab ki pur-kaif raat KHatm hui
sahar ki baat chhiDi thi so baat KHatm hui
bikharte TuTte lamhat kya gila karte
fasana ban ke musalsal hayat KHatm hui
phir aaj rah gaya kasa faqir ka KHali
mazar-e-KHas tak aa kar baraat KHatm hui
mujhe yaqin hai baqi rahegi duniya mein
unhen guman hai ki insan ki zat KHatm hui
har ek baat ki 'bebak' sharh mushkil hai
KHayal-e-yar ki pahli si baat KHatm hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.