mere badan ki tapish ruh tak utarega
mire badan kī tapish ruuh tak utāregā
vo aa.ine meñ kabhī merā ruup dhāregā
shu.ūr-e-ġham use dohrā.egā hazāroñ baar
ye ek raat ka.ī saal tak guzāregā
kabhī to aa.egī bād-e-sumūm is jānib
kabhī to vaqt mujhe shāḳh se utāregā
yuuñ nañge sar na chalo kūcha-e-tasavvur meñ
ḳhayāl lafz kā patthar uThā ke māregā
ai ahl-e-shahr uThāo na itne ūñche makāñ
shab-e-firāq kise rāsta pukāregā
havas kā aks paḌegā akele kamre meñ
koī na hogā to ā.īna aañkh māregā
vo laḌ-jhagaḌ ke chalā to gayā hai duur kahīñ
na jaane 'ashk' mujhe kis tarah bisāregā
mere badan ki tapish ruh tak utarega
wo aaine mein kabhi mera rup dhaarega
shuur-e-gham use dohraega hazaron bar
ye ek raat kai sal tak guzarega
kabhi to aaegi baad-e-sumum is jaanib
kabhi to waqt mujhe shaKH se utarega
yun nange sar na chalo kucha-e-tasawwur mein
KHayal lafz ka patthar uTha ke marega
ai ahl-e-shahr uThao na itne unche makan
shab-e-firaq kise rasta pukarega
hawas ka aks paDega akele kamre mein
koi na hoga to aaina aankh marega
wo laD-jhagaD ke chala to gaya hai dur kahin
na jaane 'ashk' mujhe kis tarah bisarega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.