mere badan ko ghusl de ke pak kar diya gaya
mire badan ko ġhusl de ke paak kar diyā gayā
phir is ke baad mujh ko zer-e-ḳhāk kar diyā gayā
jahāñ pe thoḌī der hī sahī vo aate the magar
ye kyā huā ki khiḌkiyoñ ko lock kar diyā gayā
sitamgaroñ ke zulm se huā ye fā.eda hameñ
ki ham ko har tarīqe se be-bāk kar diyā gayā
yahāñ pe jhuuT hī kā bas hai bol-bālā har taraf
hai jis ne haq kī baat kī halāk kar diyā gayā
zarīya ab koī nahīñ maiñ un ko kaise ḳhat likhūñ
ki duur ghar ke paas se hai Daak kar diyā gayā
bahut dinoñ ke baad dil 'hirā' kahīñ lagā magar
phir ek hī ghaḌī meñ dil ko chaak kar diyā gayā
mere badan ko ghusl de ke pak kar diya gaya
phir is ke baad mujh ko zer-e-KHak kar diya gaya
jahan pe thoDi der hi sahi wo aate the magar
ye kya hua ki khiDkiyon ko lock kar diya gaya
sitamgaron ke zulm se hua ye faeda hamein
ki hum ko har tariqe se be-bak kar diya gaya
yahan pe jhuT hi ka bas hai bol-baala har taraf
hai jis ne haq ki baat ki halak kar diya gaya
zariya ab koi nahin main un ko kaise KHat likhun
ki dur ghar ke pas se hai Dak kar diya gaya
bahut dinon ke baad dil 'hira' kahin laga magar
phir ek hi ghaDi mein dil ko chaak kar diya gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.