mere bulane pe kahte hain wo aji kya hai
mire bulāne pe kahte haiñ vo ajī kyā hai
koī batāo ki ye lafz vāqa.ī kyā hai
na koī vaj.h na koī sabab na koī baat
ye ijtināb hai kaisā ye be-ruḳhī kyā hai
pahuñch hai chāñd sitāroñ se aage us kī magar
ḳhud aadmī hī na samjhā ki aadmī kyā hai
hamesha chāñd kī jānib na dekhte rahiye
huzūr aap kī us kī barābarī kyā hai
maiñ ek-ek ke hālāt ko samajhtā huuñ
vo sab pe uñglī uThātā hai kyoñ vahī kyā hai
surāhī chhīn le saaqī ke haath se 'manzar'
ye arz-dāsht ye minnat ye ājizī kyā hai
mere bulane pe kahte hain wo aji kya hai
koi batao ki ye lafz waqai kya hai
na koi wajh na koi sabab na koi baat
ye ijtinab hai kaisa ye be-ruKHi kya hai
pahunch hai chand sitaron se aage us ki magar
KHud aadmi hi na samjha ki aadmi kya hai
hamesha chand ki jaanib na dekhte rahiye
huzur aap ki us ki barabari kya hai
main ek-ek ke haalat ko samajhta hun
wo sab pe ungli uThata hai kyon wahi kya hai
surahi chhin le saqi ke hath se 'manzar'
ye arz-dasht ye minnat ye aajizi kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.