mere danton ki umr ai aarzu mujhse bhi chhoTi thi
mire dāñtoñ kī umr ai aarzū mujh se bhī chhoTī thī
usī ne saath chhoḌā dāñt-kāTī jin se roTī thī
shikāyat aarzū kī be kiye nāseh nahīñ bantī
ye sab dil-jūiyāñ zāhir kī thī bātin kī khoTī thī
havā dar dar liye phirtī hai ab to merī miTTī ko
ye hai vo ḳhaak jo ik din tire qadmoñ pe loTī thī
bahut gahre na hoñ ochhe sahī charke to puure haiñ
ḳhatā qātil kī kyā hai ik darā talvār chhoTī thī
pahāḌ us par girā ai āsmāñ kyā bas chale varna
hamāre āshiyāñ kī shāḳh sab shāḳhoñ se moTī thī
balā kar tū ne ai hastī yahāñ kī ḳhuub mehmānī
vahī karte haiñ faaqe jin ke dam se das kī roTī thī
pahuñch jaatī thī us us ghar meñ jis jis ghar kā paasā thā
jo sach pūchho to merī aarzū chausar kī goTī thī
na kyuuñ kar terī yaktā.ī kā kalima naqsh ho dil par
sabaq kī tarah barsoñ ye ibārat ham ne ghoTī thī
mujhe ḳhush ḳhush jo paayā jal ke kyā jaldī huī ruḳhsat
shab-e-vasl ai falak sab kuchh sahī niyyat kī chhoTī thī
ye sach hai 'shād' kyā thā kuchh na thā lekin tumhārā thā
na samjhā tum ne ai bārīk-bīno baat moTī thī
mere danton ki umr ai aarzu mujh se bhi chhoTi thi
usi ne sath chhoDa dant-kaTi jin se roTi thi
shikayat aarzu ki be kiye naseh nahin banti
ye sab dil-juiyan zahir ki thi baatin ki khoTi thi
hawa dar dar liye phirti hai ab to meri miTTi ko
ye hai wo KHak jo ek din tere qadmon pe loTi thi
bahut gahre na hon ochhe sahi charke to pure hain
KHata qatil ki kya hai ek dara talwar chhoTi thi
pahaD us par gira ai aasman kya bas chale warna
hamare aashiyan ki shaKH sab shaKHon se moTi thi
bala kar tu ne ai hasti yahan ki KHub mehmani
wahi karte hain faqe jin ke dam se das ki roTi thi
pahunch jati thi us us ghar mein jis jis ghar ka pasa tha
jo sach puchho to meri aarzu chausar ki goTi thi
na kyun kar teri yaktai ka kalima naqsh ho dil par
sabaq ki tarah barson ye ibarat hum ne ghoTi thi
mujhe KHush KHush jo paya jal ke kya jaldi hui ruKHsat
shab-e-wasl ai falak sab kuchh sahi niyyat ki chhoTi thi
ye sach hai 'shad' kya tha kuchh na tha lekin tumhaara tha
na samjha tum ne ai barik-bino baat moTi thi
- Book : Dewan-e-shad Azimabadi (Pg. 344)
- Author : Shad Azimabadi
- Publication : Educational Publishing House (2005)
- Edition : 2005
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.