mere dard ki kahani tere jaur ka fasana
mire dard kī kahānī tire jaur kā fasāna
hai lahū-tarang naġhma ye nashāt-gīñ tarāna
mire ham-jalīs phūlo mire ham-navā anādil
tirī Tahniyoñ pe kal tak thā mirā ġharīb-ḳhāna
maiñ muqīm-e-gulsitāñ huuñ mujhe jānte nahīñ ho
abhī chaar din hue haiñ ki jalā hai āshiyāna
tū sitam-nasīb taa.ir kahāñ jā.egā fazā se
ki matā.a-e-bāġhbāñ ab hai chaman kā āb-o-dāna
baḌī mushkiloñ se daulat ye lagī hai haath tujh ko
kahīñ luT na jaa.e pyāre tirā qīmtī ḳhazāna
na to kaf hai ḳhuun meñ tar na gavāhiyāñ mayassar
mire mehrbāñ mubārak ye qitāl-e-māhirāna
kaho bijliyoñ se jā kar ki vo aa.eñ zid se merī
maiñ rakhūñgā is chaman meñ yahīñ apnā āshiyāna
vo ḳhizāñ ke roz-o-shab the jo bahār se the behtar
ki ġharaz se be-ġharaz thā 'sahar' apnā dostāna
mere dard ki kahani tere jaur ka fasana
hai lahu-tarang naghma ye nashat-gin tarana
mere ham-jalis phulo mere ham-nawa anadil
teri Tahniyon pe kal tak tha mera gharib-KHana
main muqim-e-gulsitan hun mujhe jaante nahin ho
abhi chaar din hue hain ki jala hai aashiyana
tu sitam-nasib tair kahan jaega faza se
ki mataa-e-baghban ab hai chaman ka aab-o-dana
baDi mushkilon se daulat ye lagi hai hath tujh ko
kahin luT na jae pyare tera qimti KHazana
na to kaf hai KHun mein tar na gawahiyan mayassar
mere mehrban mubarak ye qital-e-mahirana
kaho bijliyon se ja kar ki wo aaen zid se meri
main rakhunga is chaman mein yahin apna aashiyana
wo KHizan ke roz-o-shab the jo bahaar se the behtar
ki gharaz se be-gharaz tha 'sahar' apna dostana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.