mere dil-gulsitan ko kis liye aabaad karna tha
mire dil-gulsitāñ ko kis liye ābād karnā thā
agar us ko mire haq se mujhe āzād karnā thā
mirī sāñseñ mire ghuT ghuT ke mar jaane pe chaltī haiñ
use shāyad mujhe minnat-kash-e-fariyād karnā thā
mujhe ik ajnabī ne Dūbne se kyuuñ bachāyā thā
maiñ ab samjhā use ḳhud hī mujhe barbād karnā thā
vo mahbūba to ik shoa.la-fishāñ hai phūl-qālib meñ
ḳhudā ko asl meñ ham par sitam ījād karnā thā
shab-e-hijrāñ ne kaisī uljhanoñ meñ mujh ko uljhāyā
ki jis ko bhuul jaanā thā usī ko yaad karnā thā
mere dil-gulsitan ko kis liye aabaad karna tha
agar us ko mere haq se mujhe aazad karna tha
meri sansen mere ghuT ghuT ke mar jaane pe chalti hain
use shayad mujhe minnat-kash-e-fariyaad karna tha
mujhe ek ajnabi ne Dubne se kyun bachaya tha
main ab samjha use KHud hi mujhe barbaad karna tha
wo mahbuba to ek shoala-fishan hai phul-qalib mein
KHuda ko asl mein hum par sitam ijad karna tha
shab-e-hijran ne kaisi uljhanon mein mujh ko uljhaya
ki jis ko bhul jaana tha usi ko yaad karna tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.