mere dil ka tu hi ek arman hai
mere dil kā tū hī ek armān hai
tujh pe hī ye dil-o-jān qurbān hai
tujh meñ rach-bas ga.ī merī ye jaan hai
tū to bhejā huā rab kā farmān hai
tere bin koī hastī nahīñ hai mirī
terī qurbat mirī jān-pahchān hai
tū mire vāste hī banāyā gayā
rab ne mujh pe kiyā is kā ehsān hai
dil kī āñkhoñ ke nazdīk rakkhā tujhe
tū du'āoñ murādoñ kā vardān hai
dilrubā dekh kar ye mohabbat mirī
merā saarā gharānā pareshān hai
vo to nūr-e-nazar dil-nashīñ hai 'anīs'
jānte ho use ism az.hān hai
mere dil ka tu hi ek arman hai
tujh pe hi ye dil-o-jaan qurban hai
tujh mein rach-bas gai meri ye jaan hai
tu to bheja hua rab ka farman hai
tere bin koi hasti nahin hai meri
teri qurbat meri jaan-pahchan hai
tu mere waste hi banaya gaya
rab ne mujh pe kiya is ka ehsan hai
dil ki aankhon ke nazdik rakkha tujhe
tu du'aon muradon ka wardan hai
dilruba dekh kar ye mohabbat meri
mera sara gharana pareshan hai
wo to nur-e-nazar dil-nashin hai 'anis'
jaante ho use ism azhan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.