mere dil ke nihan-KHanon mein baiThe hain juda ho kar
mere dil ke nihan-KHanon mein baiThe hain juda ho kar
Huzaifa Ashraf Aasmi
MORE BYHuzaifa Ashraf Aasmi
mire dil ke nihāñ-ḳhānoñ meñ baiThe haiñ judā ho kar
vo kahte the raheñge saath rahte haiñ judā ho kar
pashemāñ ho gayā āḳhir pashemāñ ho gayā āḳhir
lagī jo dil pe aisī choT sahte haiñ judā ho kar
bahāreñ thiiñ tire aane se jaane se ḳhizā.eñ haiñ
mire aañsū chhupe the jo vo bahte haiñ judā ho kar
mire aañsū Tapakte hī mire ruḳhsār chamke haiñ
chamakte ḳhvāb the mere jo bahte haiñ judā ho kar
vo apne the 'huzaifa' ke laboñ ko gul jo kahte the
vo gul ab zard ho ke bhī mahakte haiñ judā ho kar
mere dil ke nihan-KHanon mein baiThe hain juda ho kar
wo kahte the rahenge sath rahte hain juda ho kar
pasheman ho gaya aaKHir pasheman ho gaya aaKHir
lagi jo dil pe aisi choT sahte hain juda ho kar
bahaaren thin tere aane se jaane se KHizaen hain
mere aansu chhupe the jo wo bahte hain juda ho kar
mere aansu Tapakte hi mere ruKHsar chamke hain
chamakte KHwab the mere jo bahte hain juda ho kar
wo apne the 'huzaifa' ke labon ko gul jo kahte the
wo gul ab zard ho ke bhi mahakte hain juda ho kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.