mere dil ki nigahbani mein KHush hain
mire dil kī nigahbānī meñ ḳhush haiñ
tire ġham merī mehmānī meñ ḳhush haiñ
paroñ ko bāñdh kar ye mat samajhnā
parinde terī nigrānī meñ ḳhush haiñ
kareñ kyoñ apnī ḳhuddārī kā saudā
ki ham apnī pareshānī meñ ḳhush haiñ
zarūrī to nahīñ maiñ Duub jā.ūñ
mujhe sab dekh ke paanī meñ ḳhush haiñ
uḌā.eñge yahī dhajjī tumhārī
abhī jo shaḳhsiyat-ḳhvānī meñ ḳhush haiñ
mere dil ki nigahbani mein KHush hain
tere gham meri mehmani mein KHush hain
paron ko bandh kar ye mat samajhna
parinde teri nigrani mein KHush hain
karen kyon apni KHuddari ka sauda
ki hum apni pareshani mein KHush hain
zaruri to nahin main Dub jaun
mujhe sab dekh ke pani mein KHush hain
uDaenge yahi dhajji tumhaari
abhi jo shaKHsiyat-KHwani mein KHush hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.