mere dil ki ye dastan hi ajab hai
mire dil kī ye dāstāñ hī 'ajab hai
mire vāste sahn-e-maqtal matab hai
yuuñ tanhā.iyoñ meñ na guzregī merī
ye rangīn mausam ġhazab hī ġhazab hai
agar ho sake ek qatra pilā do
tamanna abhī tak mirī tishna-lab hai
haiñ be-vaj.h tujh ko shikāyāt mujh se
ye nārāzgī bhī tirī be-sabab hai
tumhārī hī mahfil meñ jaanā hai mujh ko
magar mujh ko hāsil ye e'zāz kab hai
uḌātā hai āñchal ko mere 'musharraf'
ye ḳhushbū kā jhoñkā baḌā be-adab hai
mere dil ki ye dastan hi 'ajab hai
mere waste sahn-e-maqtal matab hai
yun tanhaiyon mein na guzregi meri
ye rangin mausam ghazab hi ghazab hai
agar ho sake ek qatra pila do
tamanna abhi tak meri tishna-lab hai
hain be-wajh tujh ko shikayat mujh se
ye naraazgi bhi teri be-sabab hai
tumhaari hi mahfil mein jaana hai mujh ko
magar mujh ko hasil ye e'zaz kab hai
uData hai aanchal ko mere 'musharraf'
ye KHushbu ka jhonka baDa be-adab hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.