mere dil ko mohabbat KHub garmae to achchha ho
mire dil ko mohabbat ḳhuub garmā.e to achchhā ho
ḳhalish baḌh kar ilāj-e-dard ban jaa.e to achchhā ho
mire ashk-e-mohabbat se diloñ ke mail dhul jaa.eñ
mirā ġham zindagī ke kaam aa jaa.e to achchhā ho
har ik mazlūm ko merī himāyat kā sahārā ho
mirā zauq-e-amal us raah par aa.e to achchhā ho
mire soz-e-darūñ se jagmagā.e hastī-e-ālam
mirā nūr-e-basīrat aam ho jaa.e to achchhā ho
añdherī shab hai sham-e-dil farozāñ kījiye yaaro
sitāroñ kī chamak kuchh aur baḌh jaa.e to achchhā ho
zabāñ par baat bhūle se na aa.e shikva-e-dil kī
taġhāful par kabhī un ke na harf aa.e to achchhā ho
haqīqat ḳhud ko manvā le zabān-e-be-zabānī se
ḳhud un kā dil nigāhoñ se jo sharmā.e to achchhā ho
mirī bechainiyoñ ko chain kuchh to aa hī jā.egā
tabīb-e-ishq mujh ko dekhne aa.e to achchhā ho
unheñ rañgīniyoñ se ik shaġhaf ai 'tāj' rahtā hai
mirī bechainiyoñ meñ rañg bhar jaa.e to achchhā ho
mere dil ko mohabbat KHub garmae to achchha ho
KHalish baDh kar ilaj-e-dard ban jae to achchha ho
mere ashk-e-mohabbat se dilon ke mail dhul jaen
mera gham zindagi ke kaam aa jae to achchha ho
har ek mazlum ko meri himayat ka sahaara ho
mera zauq-e-amal us rah par aae to achchha ho
mere soz-e-darun se jagmagae hasti-e-alam
mera nur-e-basirat aam ho jae to achchha ho
andheri shab hai sham-e-dil farozan kijiye yaro
sitaron ki chamak kuchh aur baDh jae to achchha ho
zaban par baat bhule se na aae shikwa-e-dil ki
taghaful par kabhi un ke na harf aae to achchha ho
haqiqat KHud ko manwa le zaban-e-be-zabani se
KHud un ka dil nigahon se jo sharmae to achchha ho
meri bechainiyon ko chain kuchh to aa hi jaega
tabib-e-ishq mujh ko dekhne aae to achchha ho
unhen ranginiyon se ek shaghaf ai 'taj' rahta hai
meri bechainiyon mein rang bhar jae to achchha ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.