mere dil ko supurd-e-gham na karna
mire dil ko supurd-e-ġham na karnā
mire ehsās par patthar na dharnā
mire jiine kī apnī hī adā hai
mujhe mā'lūm hai hañs hañs ke marnā
mirī sāñsoñ meñ bhī kuchh zahr sā hai
mire nazdīk se bach kar guzarnā
mujhe apnoñ ne vo dhoke diye haiñ
mujhe aatā nahīñ ġhairoñ se Darnā
vafā kī aaḌ meñ luuTā gayā huuñ
bahut mushkil hai ab merā sañvarnā
mire ujḌe hue gulshan ke phūlo
mirī barbādiyoñ kā ġham na karnā
mere dil ko supurd-e-gham na karna
mere ehsas par patthar na dharna
mere jine ki apni hi ada hai
mujhe ma'lum hai hans hans ke marna
meri sanson mein bhi kuchh zahr sa hai
mere nazdik se bach kar guzarna
mujhe apnon ne wo dhoke diye hain
mujhe aata nahin ghairon se Darna
wafa ki aaD mein luTa gaya hun
bahut mushkil hai ab mera sanwarna
mere ujDe hue gulshan ke phulo
meri barbaadiyon ka gham na karna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.