mere dil ko zulfon ki zanjir kijo
mire dil ko zulfoñ kī zanjīr kiijo
ye dīvāna apnā hai tadbīr kiijo
hameñ qatl hai yā hai ab qaid zālim
jo kuchh tujh se hove na taqsīr kiijo
mire dil ne zulfoñ meñ maskan kiyā hai
ye mehmān hai aa.e tauqīr kiijo
jalālī to hai aah tū āsmāñ tak
Tuk ik is ke dil meñ bhī tāsīr kiijo
ye 'āsif' tumhārā hai ai banda-parvar
use har ghaḌī tum na dil-gīr kiijo
mere dil ko zulfon ki zanjir kijo
ye diwana apna hai tadbir kijo
hamein qatl hai ya hai ab qaid zalim
jo kuchh tujh se howe na taqsir kijo
mere dil ne zulfon mein maskan kiya hai
ye mehman hai aae tauqir kijo
jalali to hai aah tu aasman tak
Tuk ek is ke dil mein bhi tasir kijo
ye 'asif' tumhaara hai ai banda-parwar
use har ghaDi tum na dil-gir kijo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.