mere dil mein achanak ye KHalish kya
mire dil meñ achānak ye ḳhalish kyā
koī karne lagā hai sarzanish kyā
hazāroñ nafrateñ dil meñ basī haiñ
bane phirte ho tum sūfī-manish kyā
agar siine meñ kiine kuchh nahīñ haiñ
to ye takrār kyā ye chapqulash kyā
jidhar dekho 'adāvat hī 'adāvat
kabhī badlegī duniyā kī ravish kyā
mohabbat kā sabaq ghar meñ nahīñ hai
zamāne se umīd-e-parvarish kyā
koī jauhar hai dil meñ kār-farmā
vagarna gardish-e-ḳhūñ kyā tapish kyā
hai bahr-e-dars-e-insāñ jazb-e-bāham
vagarna zarroñ meñ bāham kashish kyā
maiñ har vaadī meñ sargardāñ nahīñ huuñ
mire ash'ār kyā dād-o-dahish kyā
mere dil mein achanak ye KHalish kya
koi karne laga hai sarzanish kya
hazaron nafraten dil mein basi hain
bane phirte ho tum sufi-manish kya
agar sine mein kine kuchh nahin hain
to ye takrar kya ye chapqulash kya
jidhar dekho 'adawat hi 'adawat
kabhi badlegi duniya ki rawish kya
mohabbat ka sabaq ghar mein nahin hai
zamane se umid-e-parwarish kya
koi jauhar hai dil mein kar-farma
wagarna gardish-e-KHun kya tapish kya
hai bahr-e-dars-e-insan jazb-e-baham
wagarna zarron mein baham kashish kya
main har wadi mein sargardan nahin hun
mere ash'ar kya dad-o-dahish kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.