mere dil pe tera qabza mera iKHtiyar tu hai
mire dil pe terā qabza mirā iḳhtiyār tū hai
mirī zindagī kā hāsil mirā intizār tū hai
tirā kis se vāsta hai tujhe kis kī hai tamannā
jo halāk-e-jalva-e-ġham dil-e-be-qarār tū hai
mirī mushkiloñ meñ aksar mire kaam aane vaale
mirā mūnis-o-nigahbāñ mirā ġham-gusār tū hai
tujhe merī justujū hai mujhe aarzū hai terī
tirā e'tibār maiñ huuñ mirā e'tibār tū hai
koī duur duur tujh se koī paas paas tere
kahīñ tū kare hai parda kahīñ āshkār tū hai
kahīñ ruḳh chamak rahe haiñ kahīñ dil mahak uThe haiñ
kahīñ zau-fishāniyāñ haiñ kahīñ mushk-bār tū hai
tire dar pe aa gayā hai ye siyāhkār 'shātir'
mirī baḳhsh de ḳhatā.eñ ki atā-shi.ār tū hai
mere dil pe tera qabza mera iKHtiyar tu hai
meri zindagi ka hasil mera intizar tu hai
tera kis se wasta hai tujhe kis ki hai tamanna
jo halak-e-jalwa-e-gham dil-e-be-qarar tu hai
meri mushkilon mein aksar mere kaam aane wale
mera munis-o-nigahban mera gham-gusar tu hai
tujhe meri justuju hai mujhe aarzu hai teri
tera e'tibar main hun mera e'tibar tu hai
koi dur dur tujh se koi pas pas tere
kahin tu kare hai parda kahin aashkar tu hai
kahin ruKH chamak rahe hain kahin dil mahak uThe hain
kahin zau-fishaniyan hain kahin mushk-bar tu hai
tere dar pe aa gaya hai ye siyahkar 'shatir'
meri baKHsh de KHataen ki ata-shiar tu hai
- Book : Palkon Ke diye (Pg. 51)
- Author : Shatir Hakeemi
- Publication : Hazrat Shatir Hakeemi urdu acadmy Kamti Zila Nagpur (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.