mere dil se dil ko mila kar to dekho
mire dil se dil ko milā kar to dekho
mohabbat kī duniyā basā kar to dekho
dar-e-āstāñ par khaḌā huuñ maiñ kab se
zarā ruḳh se parda haTā kar to dekho
abhī tak to mujh se rahe ho ḳhafā tum
magar ab zarā muskurā kar to dekho
bujhāoge jitne vo bhaḌkeñge utne
mohabbat ke sho.ale bujhā kar to dekho
ye bād-e-muḳhālif na gul kar sakegī
charāġh-e-mohabbat jalā kar to dekho
kaTegā safar ye salāmat-ravī se
mujhe rāhbar tum banā kar to dekho
karāmat to apnī dikhāo zarā tum
mujhe apnā jaisā banā kar to dekho
suneñge yaqīnan vo afsāna-e-ġham
'azīz' un ko dil se sunā kar to dekho
kabhī dil se apnā samajh kar zarā tum
'azīz' apnā mujh ko banā kar to dekho
mere dil se dil ko mila kar to dekho
mohabbat ki duniya basa kar to dekho
dar-e-astan par khaDa hun main kab se
zara ruKH se parda haTa kar to dekho
abhi tak to mujh se rahe ho KHafa tum
magar ab zara muskura kar to dekho
bujhaoge jitne wo bhaDkenge utne
mohabbat ke shoale bujha kar to dekho
ye baad-e-muKHalif na gul kar sakegi
charagh-e-mohabbat jala kar to dekho
kaTega safar ye salamat-rawi se
mujhe rahbar tum bana kar to dekho
karamat to apni dikhao zara tum
mujhe apna jaisa bana kar to dekho
sunenge yaqinan wo afsana-e-gham
'aziz' un ko dil se suna kar to dekho
kabhi dil se apna samajh kar zara tum
'aziz' apna mujh ko bana kar to dekho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.