Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere dil se tere dil tak safar hai

Dua Ali

mere dil se tere dil tak safar hai

Dua Ali

MORE BYDua Ali

    mire dil se tire dil tak safar hai

    mohabbat kahānī muḳhtasar hai

    kahoge kyā ise ai baḳhiya-gar tum

    ye ik aañsū hai tār-e-nazar hai

    rageñ pairoñ jaise munjamid haiñ

    tamāshā.ī banī ik rahguzar hai

    udāsī mustaqil mehmāñ hai dil

    ḳhabar ḳhushiyoñ is par be-asar hai

    udhar rañgīñ-bayānī zor par hai

    idhar duniyā-e-dil zer-o-zabar hai

    'duā' dukh farāvānī meñ sukh hai

    mujhe raas aatā har dukh tāza-tar hai

    mere dil se tere dil tak safar hai

    mohabbat ki kahani muKHtasar hai

    kahoge kya ise ai baKHiya-gar tum

    ye ek aansu hai ya tar-e-nazar hai

    ragen pairon ki jaise munjamid hain

    tamashai bani ek rahguzar hai

    udasi mustaqil mehman hai dil ki

    KHabar KHushiyon ki is par be-asar hai

    udhar rangin-bayani zor par hai

    idhar duniya-e-dil zer-o-zabar hai

    'dua' dukh ki farawani mein sukh hai

    mujhe ras aata har dukh taza-tar hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now