mere dil se tere dil tak safar hai
mire dil se tire dil tak safar hai
mohabbat kī kahānī muḳhtasar hai
kahoge kyā use ai baḳhiya-gar tum
ye ik aañsū hai yā tār-e-nazar hai
rageñ pairoñ kī jaise munjamid haiñ
tamāshā.ī banī ik rahguzar hai
udāsī mustaqil mehmāñ hai dil kī
ḳhabar ḳhushiyoñ kī us par be-asar hai
udhar rangīñ-bayānī zor par hai
idhar duniyā-e-dil zer-o-zabar hai
'duā' dukh kī farāvānī meñ sukh hai
mujhe raas aatā har dukh tāza-tar hai
mere dil se tere dil tak safar hai
mohabbat ki kahani muKHtasar hai
kahoge kya use ai baKHiya-gar tum
ye ek aansu hai ya tar-e-nazar hai
ragen pairon ki jaise munjamid hain
tamashai bani ek rahguzar hai
udasi mustaqil mehman hai dil ki
KHabar KHushiyon ki us par be-asar hai
udhar rangin-bayani zor par hai
idhar duniya-e-dil zer-o-zabar hai
'dua' dukh ki farawani mein sukh hai
mujhe ras aata har dukh taza-tar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.