mere din ki tarah raushan meri har raat hoti hai
mere din ki tarah raushan meri har raat hoti hai
Abdul Hafeez Sahil Qadri
MORE BYAbdul Hafeez Sahil Qadri
mire din kī tarah raushan mirī har raat hotī hai
duā maañ kī har ik mausam meñ mere saath hotī hai
ajab dastūr hai ik ye bhī iz.hār-e-mohabbat kā
zabāñ ḳhāmosh rahtī hai nazar se baat hotī hai
talāsh-e-rizq meñ jab bhī kabhī ghar se nikaltā huuñ
mire hamrāh paiham gardish-e-hālāt hotī hai
bhalā ilzām koī dushmanī par kyā rakhā jaa.e
ki ab to dostī hī bā.is-e-sadmāt hotī hai
rahūñ maiñ koī aalam koī hālat meñ magar 'sāhil'
mire pesh-e-nazar to bas ḳhudā kī zaat hotī hai
mere din ki tarah raushan meri har raat hoti hai
dua man ki har ek mausam mein mere sath hoti hai
ajab dastur hai ek ye bhi izhaar-e-mohabbat ka
zaban KHamosh rahti hai nazar se baat hoti hai
talash-e-rizq mein jab bhi kabhi ghar se nikalta hun
mere hamrah paiham gardish-e-haalat hoti hai
bhala ilzam koi dushmani par kya rakha jae
ki ab to dosti hi bais-e-sadmat hoti hai
rahun main koi aalam koi haalat mein magar 'sahil'
mere pesh-e-nazar to bas KHuda ki zat hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.