mere diye tera nemul-badal raha hun main
mire diye tirā ne'mul-badal rahā huuñ maiñ
tū bujh gayā hai to ab dekh jal rahā huuñ maiñ
ye aur baat ki ham donoñ ham-qadam haiñ magar
vo mere saath na saath us ke chal rahā huuñ maiñ
ye tū ki terā hayūlā ki ḳhvāb hai merā
zarā Thahar ki abhī āñkheñ mal rahā huuñ maiñ
vo dauḌne meñ kahīñ laḌkhaḌā ke gir na paḌe
vo jiit jaa.e so āhista chal rahā huuñ maiñ
mah-o-nujūm ne mujh se bahut guzārish kī
so shaam hone se pahle hī Dhal rahā huuñ maiñ
safar kā shauq hai manzil kī koī chaah nahīñ
so jān-būjh ke raste badal rahā huuñ maiñ
qubūl karte haiñ sab log muñh banā ke mujhe
purāne note kī mānind chal rahā huuñ maiñ
mire dimāġh pe dil ġhālib aa rahā hai 'kamāl'
har ek chaap pe bāhar nikal rahā huuñ maiñ
mere diye tera ne'mul-badal raha hun main
tu bujh gaya hai to ab dekh jal raha hun main
ye aur baat ki hum donon ham-qadam hain magar
wo mere sath na sath us ke chal raha hun main
ye tu ki tera hayula ki KHwab hai mera
zara Thahar ki abhi aankhen mal raha hun main
wo dauDne mein kahin laDkhaDa ke gir na paDe
wo jit jae so aahista chal raha hun main
mah-o-nujum ne mujh se bahut guzarish ki
so sham hone se pahle hi Dhal raha hun main
safar ka shauq hai manzil ki koi chah nahin
so jaan-bujh ke raste badal raha hun main
qubul karte hain sab log munh bana ke mujhe
purane note ki manind chal raha hun main
mere dimagh pe dil ghaalib aa raha hai 'kamal'
har ek chap pe bahar nikal raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.