mere dono jahan tum shad karti ho
mire dono jahāñ tum shaad kartī ho
yuuñ apnī zulf jab āzād kartī ho
hayā se jab jhukātī ho nazar apnī
hazāroñ ḳhvāhisheñ ābād kartī ho
shajar ġham-zād hai ik mere āñgan meñ
use tum muskurā kar shaad kartī ho
satāne aur phir mujh ko manāne ke
tarīqe tum na.e ījād kartī ho
tumheñ maiñ bhiiḌ meñ bhī yaad kartā huuñ
ho tanhā bhī to tum kab yaad kartī ho
mujhe ġhairoñ meñ hī aksar ginā tum ne
to phir kis haq se ab fariyād kartī ho
mere dono jahan tum shad karti ho
yun apni zulf jab aazad karti ho
haya se jab jhukati ho nazar apni
hazaron KHwahishen aabaad karti ho
shajar gham-zad hai ek mere aangan mein
use tum muskura kar shad karti ho
satane aur phir mujh ko manane ke
tariqe tum nae ijad karti ho
tumhein main bhiD mein bhi yaad karta hun
ho tanha bhi to tum kab yaad karti ho
mujhe ghairon mein hi aksar gina tum ne
to phir kis haq se ab fariyaad karti ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.