mere dukh dard har ek aankh se ojhal paDe the
mire dukh dard har ik aañkh se ojhal paḌe the
shukr-sad-shukr ki bas ruuh pe hī bal paḌe the
kisī maqsad se tire paas nahīñ aa.e haiñ
kahīñ jaanā hī thā so terī taraf chal paḌe the
ek maiñ hī nahīñ shab chhat pe basar kartā thā
chāñd ke pīchhe ka.ī aur bhī pāgal paḌe the
kaisā nazzārā thā kohsāroñ kī shahzādī kā
baam par vo khaḌī thī farsh pe bādal paḌe the
jald-bāzoñ ne bichhaḌne meñ baḌī ujlat kī
ek ik mas.ale ke varna ka.ī hal paḌe the
ḳhud se ḳhud tak kā safar sahl nahīñ thā itnā
rāste meñ ka.ī dariyā ka.ī jañgal paḌe the
ijz ke ashk bahāte hue shab so gayā maiñ
sub.h uTThā to mire kaam mukammal paḌe the
dhyān tayyārī kā aayā hī nahīñ ham ko 'aqīl'
safar-e-ishq thā be-raḳht-e-safar chal paḌe the
mere dukh dard har ek aankh se ojhal paDe the
shukr-sad-shukr ki bas ruh pe hi bal paDe the
kisi maqsad se tere pas nahin aae hain
kahin jaana hi tha so teri taraf chal paDe the
ek main hi nahin shab chhat pe basar karta tha
chand ke pichhe kai aur bhi pagal paDe the
kaisa nazzara tha kohsaron ki shahzadi ka
baam par wo khaDi thi farsh pe baadal paDe the
jald-bazon ne bichhaDne mein baDi ujlat ki
ek ek masale ke warna kai hal paDe the
KHud se KHud tak ka safar sahl nahin tha itna
raste mein kai dariya kai jangal paDe the
ijz ke ashk bahate hue shab so gaya main
subh uTTha to mere kaam mukammal paDe the
dhyan tayyari ka aaya hi nahin hum ko 'aqil'
safar-e-ishq tha be-raKHt-e-safar chal paDe the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.