mere dukh ka tu andaza laga de
mire dukh kā tū andāza lagā de
ḳhushī ko apnī ḳhud hī tū miTā de
havā itrā.e phirtī haiñ jo ḳhud par
agar himmat ho sūraj ko bujhā de
sitāre siskiyāñ bharte hai shab-bhar
kabhī to aañkh bhī ġham kā pata de
dil-e-bīmār ko rashk-e-masīhā
jo ho mahbūb ab aisī duā de
muqābil se chalā ye kaun uThkar
ke jaise sham-e-dil koī bujhā de
mere dukh ka tu andaza laga de
KHushi ko apni KHud hi tu miTa de
hawa itrae phirti hain jo KHud par
agar himmat ho suraj ko bujha de
sitare siskiyan bharte hai shab-bhar
kabhi to aankh bhi gham ka pata de
dil-e-bimar ko rashk-e-masiha
jo ho mahbub ab aisi dua de
muqabil se chala ye kaun uThkar
ke jaise sham-e-dil koi bujha de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.