mere ghamon ka kisi ne KHayal bhi na kiya
mire ġhamoñ kā kisī ne ḳhayāl bhī na kiyā
kisī se maiñ ne magar arz-e-hāl bhī na kiyā
maiñ duur tak use dekhā kiyā na jaane kyoñ
Thahar ke jis ne zarā sā malāl bhī na kiyā
phirā maiñ baaġh meñ mānind-e-barg-e-āvāra
shamīm-e-gul ne magar pā.emāl bhī na kiyā
harīf ho ga.ī duniyā ye kyā kiyā maiñ ne
kisī hunar meñ kuchh aisā kamāl bhī na kiyā
shikast-e-jām pe maiñ phuuT phuuT kar royā
shikasta shīsha-e-dil kā ḳhayāl bhī na kiyā
mirī sarisht meñ vo lā-sharīk thā ki mujhe
ḳhudā-e-sāhab-e-ahl-o-ayāl bhī na kiyā
sitam-kashoñ ne hazāroñ savāl soche the
sitam-shi.ār ne lekin savāl bhī na kiyā
mere ghamon ka kisi ne KHayal bhi na kiya
kisi se main ne magar arz-e-haal bhi na kiya
main dur tak use dekha kiya na jaane kyon
Thahar ke jis ne zara sa malal bhi na kiya
phira main bagh mein manind-e-barg-e-awara
shamim-e-gul ne magar paemal bhi na kiya
harif ho gai duniya ye kya kiya main ne
kisi hunar mein kuchh aisa kamal bhi na kiya
shikast-e-jam pe main phuT phuT kar roya
shikasta shisha-e-dil ka KHayal bhi na kiya
meri sarisht mein wo la-sharik tha ki mujhe
KHuda-e-sahab-e-ahl-o-ayal bhi na kiya
sitam-kashon ne hazaron sawal soche the
sitam-shiar ne lekin sawal bhi na kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.