mere ghamon ka malal mat kar
mire ġhamoñ kā malāl mat kar
tū apnā jiinā muhāl mat kar
ġham-o-alam kā huuñ ik samundar
mirā koī tū ḳhayāl mat kar
tū apnī nazroñ meñ gir na jaa.e
kisī se bhī arz-e-hāl mat kar
tujhe yaqīnan milegī jannat
harām ḳhud par halāl mat kar
milegī rozī tujhe bhī 'kashfī'
ḳhudā ḳhudā kar savāl mat kar
mere ghamon ka malal mat kar
tu apna jina muhaal mat kar
gham-o-alam ka hun ek samundar
mera koi tu KHayal mat kar
tu apni nazron mein gir na jae
kisi se bhi arz-e-haal mat kar
tujhe yaqinan milegi jannat
haram KHud par halal mat kar
milegi rozi tujhe bhi 'kashfi'
KHuda KHuda kar sawal mat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.