mere ghamon ka mere masalon ka hal bhi tha
mire ġhamoñ kā mire mas.aloñ kā hal bhī thā
rafīq aisā ke har dard kā badal bhī thā
ġham-e-hayāt ke zaḳhmoñ kā mere thā marham
vo aaj bhī hai mire dil meñ aur kal bhī thā
kuchh aisā zehn meñ thā 'auj' vo mire qābiz
vo merī nazm thā vo hī mirī ġhazal bhī thā
mere ghamon ka mere masalon ka hal bhi tha
rafiq aisa ke har dard ka badal bhi tha
gham-e-hayat ke zaKHmon ka mere tha marham
wo aaj bhi hai mere dil mein aur kal bhi tha
kuchh aisa zehn mein tha 'auj' wo mere qabiz
wo meri nazm tha wo hi meri ghazal bhi tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.