mere gharib se ghar mein tere qadam aae
mire ġharīb se ghar meñ tire qadam aa.e
vo chand lamhe the jo zindagī meñ kam aa.e
kabhī to aañkh meñ ulfat kī raushnī dekhūñ
kabhī to pyaar meñ Dhal kar tirā sitam aa.e
yahī ḳhayāl hai roz-e-azal ḳhudā ke huzūr
tamām log ḳhushī le chuke to ham aa.e
kabhī kabhī to zamānoñ ke ba.ad milte ho
milā karo ki zarā dostī meñ dam aa.e
ye sāneha hai ki saada the jis qadar 'ġhaznī'
rah-e-hayāt meñ utne hī pech-o-ḳham aa.e
mere gharib se ghar mein tere qadam aae
wo chand lamhe the jo zindagi mein kam aae
kabhi to aankh mein ulfat ki raushni dekhun
kabhi to pyar mein Dhal kar tera sitam aae
yahi KHayal hai roz-e-azal KHuda ke huzur
tamam log KHushi le chuke to hum aae
kabhi kabhi to zamanon ke baad milte ho
mila karo ki zara dosti mein dam aae
ye saneha hai ki sada the jis qadar 'ghazni'
rah-e-hayat mein utne hi pech-o-KHam aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.