mere ghar mein na hogi raushni kya
mire ghar meñ na hogī raushnī kyā
nahīñ aaoge is jānib kabhī kyā
chahaktī boltī āñkhoñ meñ chuppī
unheñ chubhne lagī merī kamī kyā
ḳhud us kā rañg pīchhā kar rahe haiñ
kahīñ dekhī hai aisī sādgī kyā
lipaTtī haiñ mire pairoñ se lahreñ
mujhe pahchāntī hai ye nadī kyā
maiñ is shab se to uktāyā huā huuñ
sahar de pā.egī kuchh tāzgī kyā
tirī aahaT kī dhuup aatī nahīñ hai
samā.at bhī mirī kumhlā ga.ī kyā
ḳhamoshī barf sī 'ātish' jamī thī
nazar kī aañch se vo gal ga.ī kyā
mere ghar mein na hogi raushni kya
nahin aaoge is jaanib kabhi kya
chahakti bolti aankhon mein chuppi
unhen chubhne lagi meri kami kya
KHud us ka rang pichha kar rahe hain
kahin dekhi hai aisi sadgi kya
lipaTti hain mere pairon se lahren
mujhe pahchanti hai ye nadi kya
main is shab se to uktaya hua hun
sahar de paegi kuchh tazgi kya
teri aahaT ki dhup aati nahin hai
samaat bhi meri kumhla gai kya
KHamoshi barf si 'atish' jami thi
nazar ki aanch se wo gal gai kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.