mere ghubar bhare aainon mein rahti hai
mire ġhubār bhare ā.inoñ meñ rahtī hai
vo aañkh jis ke liye raushnī tarastī hai
is inhimāk se tasvīr dekhtā huuñ tirī
ki ek baar to scrēn bhī laraztī hai
do ek diip se jugnū to aañkh aañkh meñ haiñ
kahīñ kahīñ pe charāġhoñ kī sarparastī hai
tumhāre dhyān kī mīThī sī dūdhiyā ḳhushbū
hayāt-baḳhsh hai itnī ki ain hastī hai
tamām raat purāne dinoñ kī ik nāgin
samay kī khiḌkiyoñ se aa ke dil ko Dastī hai
mere ghubar bhare aainon mein rahti hai
wo aankh jis ke liye raushni tarasti hai
is inhimak se taswir dekhta hun teri
ki ek bar to screen bhi larazti hai
do ek dip se jugnu to aankh aankh mein hain
kahin kahin pe charaghon ki sarparasti hai
tumhaare dhyan ki miThi si dudhiya KHushbu
hayat-baKHsh hai itni ki ain hasti hai
tamam raat purane dinon ki ek nagin
samay ki khiDkiyon se aa ke dil ko Dasti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.