mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai
mire ġhubār-e-safar kā ma.aal raushan hai
shafaq shafaq abhī naqsh-e-zavāl raushan hai
sadā-e-gumbad-e-ta.abīr sun rahā huuñ maiñ
fazā-e-ḳhvāb meñ kirnoñ kā jaal raushan hai
vo ek fikriya lamha usī tarah hai abhī
tire javāb se merā savāl raushan hai
parind kyuuñ na uḌā.īñ hañsī añdheroñ kī
mire shajar kī abhī Daal Daal raushan hai
surūr terī rifāqat kā kam nahīñ hotā
tasavvurāt meñ rañg-e-visāl raushan hai
na koī baat hai kahne kī aur na sunñe kī
tumhārā mujh pe mirā tum pe haal raushan hai
savāl raah badalne kā hai to tum badlo
mirī dalīl hai vāzeh misāl raushan hai
jise maiñ vaqt ke sahrā meñ pheñk aayā huuñ
usī chaTān pe sadiyoñ kā haal raushan hai
diye jalātā huā baḌh rahā hai dast-e-havā
fazā muhīb hai lekin ḳhayāl raushan hai
shikārī apnī jagah mutma.in haiñ chup sādhe
parinde dekh rahe haiñ ki jaal raushan hai
kisī añdhere ko ḳhātir meñ tum nahīñ laanā
mirā charāġh ba-hadd-e-kamāl raushan hai
ye ehtiyāt-e-safar kā maqām hai 'nusrat'
yahāñ se vahshat-e-pā-e-ġhazāl raushan hai
mere ghubar-e-safar ka maal raushan hai
shafaq shafaq abhi naqsh-e-zawal raushan hai
sada-e-gumbad-e-tabir sun raha hun main
faza-e-KHwab mein kirnon ka jal raushan hai
wo ek fikriya lamha usi tarah hai abhi
tere jawab se mera sawal raushan hai
parind kyun na uDain hansi andheron ki
mere shajar ki abhi Dal Dal raushan hai
surur teri rifaqat ka kam nahin hota
tasawwuraat mein rang-e-visal raushan hai
na koi baat hai kahne ki aur na sunne ki
tumhaara mujh pe mera tum pe haal raushan hai
sawal rah badalne ka hai to tum badlo
meri dalil hai wazeh misal raushan hai
jise main waqt ke sahra mein phenk aaya hun
usi chaTan pe sadiyon ka haal raushan hai
diye jalata hua baDh raha hai dast-e-hawa
faza muhib hai lekin KHayal raushan hai
shikari apni jagah mutmain hain chup sadhe
parinde dekh rahe hain ki jal raushan hai
kisi andhere ko KHatir mein tum nahin lana
mera charagh ba-hadd-e-kamal raushan hai
ye ehtiyat-e-safar ka maqam hai 'nusrat'
yahan se wahshat-e-pa-e-ghazal raushan hai
- Book : Sab Khwab (Pg. 93)
- Author : Nusrat Gwaliory
- Publication : Nusrat Gwaliory, Tahzeeb Urdu 5071, Kucha Rahman Pandit, Chandni Chouck, Delhi (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.