mere gulshan se kanTon ki nigahbani nahin jati
mire gulshan se kāñToñ kī nigahbānī nahīñ jaatī
bahāroñ meñ bhī apnī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
ghaTā.eñ zulm kī chāroñ taraf se gher letī haiñ
magar kirdār ke sūraj kī tābānī nahīñ jaatī
zarūrat roz kahtī hai mujhe samjhauta karne ko
magar zardār ke dar tak ye peshānī nahīñ jaatī
hazāroñ bastiyāñ tārāj kar Dālīñ magar phir bhī
vatan ke dushmanoñ kī fitna-sāmānī nahīñ jaatī
naqābeñ oḌh lī haiñ maslahat kī jab se chehroñ par
ḳhud apnī shakl bhī ab ham se pahchānī nahīñ jaatī
koī ġhurbat meñ donoñ vaqt kartā hai yahāñ faaqe
kisī ke ghar se daulat kī farāvānī nahīñ jaatī
mujhe ḳhud-ehtisābī kā hunar bhī baḳhsh de maulā
ki apnī koī ḳhāmī mujh se pahchānī nahīñ jaatī
mere gulshan se kanTon ki nigahbani nahin jati
bahaaron mein bhi apni chaak-damani nahin jati
ghaTaen zulm ki chaaron taraf se gher leti hain
magar kirdar ke suraj ki tabani nahin jati
zarurat roz kahti hai mujhe samjhauta karne ko
magar zardar ke dar tak ye peshani nahin jati
hazaron bastiyan taraj kar Dalin magar phir bhi
watan ke dushmanon ki fitna-samani nahin jati
naqaben oDh li hain maslahat ki jab se chehron par
KHud apni shakl bhi ab hum se pahchani nahin jati
koi ghurbat mein donon waqt karta hai yahan faqe
kisi ke ghar se daulat ki farawani nahin jati
mujhe KHud-ehtisabi ka hunar bhi baKHsh de maula
ki apni koi KHami mujh se pahchani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.