mere haal par mehrbani kare
mire haal par mehrbānī kare
ḳhudā se kaho hukm-e-sānī kare
maiñ ik buuñd paanī baḌī chiiz huuñ
samundar mirī pāsbānī kare
paḌheñ log tahrīr-e-dīvār o dar
ḳhulāsa mirī be-zabānī kare
azal se maiñ us ke ta.āqub meñ huuñ
jo lamha mujhe ġhair-fānī kare
vo baḳhshe ujāle kisī sub.h ko
koī shaam raushan suhānī kare
mire saa.e meñ sab haiñ mere sivā
koī to mirī sā.ebānī kare
koī hai jo baḌh ke uThā le 'amīr'
vo tesha jo patthar ko paanī kare
mere haal par mehrbani kare
KHuda se kaho hukm-e-sani kare
main ek bund pani baDi chiz hun
samundar meri pasbani kare
paDhen log tahrir-e-diwar o dar
KHulasa meri be-zabani kare
azal se main us ke taaqub mein hun
jo lamha mujhe ghair-fani kare
wo baKHshe ujale kisi subh ko
koi sham raushan suhani kare
mere sae mein sab hain mere siwa
koi to meri saebani kare
koi hai jo baDh ke uTha le 'amir'
wo tesha jo patthar ko pani kare
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.