mere hath ki sab dua le gaya
mire haath kī sab duā le gayā
vo kyā lene aayā thā kyā le gayā
faqat ro rahā huuñ kise yaad hai
koī chhīn kar mujh se kyā le gayā
ki jab shahr meñ kuchh na baaqī bachā
samundar mujhe bhī bulā le gayā
agar kho ga.ī koī shai bhī to kyā
bachā kar vo apnī anā le gayā
'shamīm' us ke jaane kā kuchh ġham nahīñ
magar beach kā rāsta le gayā
mere hath ki sab dua le gaya
wo kya lene aaya tha kya le gaya
faqat ro raha hun kise yaad hai
koi chhin kar mujh se kya le gaya
ki jab shahr mein kuchh na baqi bacha
samundar mujhe bhi bula le gaya
agar kho gai koi shai bhi to kya
bacha kar wo apni ana le gaya
'shamim' us ke jaane ka kuchh gham nahin
magar beach ka rasta le gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.