mere hath mein unki taswir hogi
mire haath meñ un kī tasvīr hogī
mulāqāt kī ye bhī tadbīr hogī
vafāoñ ke hāthoñ meñ zanjīr hogī
baḌī hī hasīñ merī taqdīr hogī
tire haath se jo bhī likkhī ga.ī hai
baḌī mohtaram aisī tahrīr hogī
bujhā dūñgā saare zamāne kī sham'eñ
mayassar agar terī tanvīr hogī
jo kal ḳhvāb dekhā thā maiñ ne ḳhushī kā
ḳhudā jaane kyā us kī tā'bīr hogī
mere hath mein un ki taswir hogi
mulaqat ki ye bhi tadbir hogi
wafaon ke hathon mein zanjir hogi
baDi hi hasin meri taqdir hogi
tere hath se jo bhi likkhi gai hai
baDi mohtaram aisi tahrir hogi
bujha dunga sare zamane ki sham'en
mayassar agar teri tanwir hogi
jo kal KHwab dekha tha main ne KHushi ka
KHuda jaane kya us ki ta'bir hogi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.