mere habib tere husn ka jawab nahin
mire habīb tire husn kā javāb nahīñ
tujhe maiñ dekh sakūñ mujh meñ itnī taab nahīñ
jo tujh se duur haiñ vo bhī uThā rahe haiñ faiz
tire karam kā ḳhudāyā koī hisāb nahīñ
vo ma.arifat ke ujāloñ ko pā nahīñ sakte
ki jin ke haath meñ allāh kī kitāb nahīñ
akelā jānib-e-manzil nikal paḌā huuñ maiñ
rah-e-vafā meñ mirā koī ham-rikāb nahīñ
kabhī vo ishq kī manzil ko pā nahīñ saktā
ki jis ke dil meñ mohabbat kā iztirāb nahīñ
jo merī sāñsoñ se mahsūs kar rahe haiñ log
ye us kī ḳhushbū hai ye nik.hat-e-gulāb nahīñ
umar ke daur-e-ḳhilāfat kī baat hī kuchh hai
koī sunahrā zamāne meñ is se baab nahīñ
hazār DhūñD lo tiryāk zahr-e-ġham ke liye
mire rasūl ke jaisā koī luaab nahīñ
talāsh-o-justujū jis kā nahīñ hai sheva 'shād'
vo aadmī kisī maqsad meñ kāmyāb nahīñ
mere habib tere husn ka jawab nahin
tujhe main dekh sakun mujh mein itni tab nahin
jo tujh se dur hain wo bhi uTha rahe hain faiz
tere karam ka KHudaya koi hisab nahin
wo marifat ke ujalon ko pa nahin sakte
ki jin ke hath mein allah ki kitab nahin
akela jaanib-e-manzil nikal paDa hun main
rah-e-wafa mein mera koi ham-rikab nahin
kabhi wo ishq ki manzil ko pa nahin sakta
ki jis ke dil mein mohabbat ka iztirab nahin
jo meri sanson se mahsus kar rahe hain log
ye us ki KHushbu hai ye nikhat-e-gulab nahin
umar ke daur-e-KHilafat ki baat hi kuchh hai
koi sunahra zamane mein is se bab nahin
hazar DhunD lo tiryak zahr-e-gham ke liye
mere rasul ke jaisa koi luab nahin
talash-o-justuju jis ka nahin hai shewa 'shad'
wo aadmi kisi maqsad mein kaamyab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.