mere ham-qadam mere ham-nashin mere sath chal
mire ham-qadam mire ham-nashīñ mire saath chal
mire ham-safar mirā kar yaqīñ mire saath chal
shab-e-hijr meñ jo thī talḳhiyāñ sabhī bhuul jā
mujhe dil meñ rakh mirā ghar yahīñ mire saath chal
maiñ tire vajūd kī shāḳh huuñ mujhe kaaT mat
mujhe paas rakh maiñ gumāñ nahīñ mire saath chal
ye jo lā-makān ke silsile tirī zaat ke
tirī zaat meñ huuñ nihāñ kahīñ mire saath chal
kabhī chāñd par kabhī phuul meñ kabhī ḳhaak meñ
mujhe yuuñ na bhej kahīñ kahīñ mire saath chal
maiñ chalī suḳhan liye gulsitāñ mire saath aa
mirī soch ke vahīñ sab nagīñ mire saath chal
mere ham-qadam mere ham-nashin mere sath chal
mere ham-safar mera kar yaqin mere sath chal
shab-e-hijr mein jo thi talKHiyan sabhi bhul ja
mujhe dil mein rakh mera ghar yahin mere sath chal
main tere wajud ki shaKH hun mujhe kaT mat
mujhe pas rakh main guman nahin mere sath chal
ye jo la-makan ke silsile teri zat ke
teri zat mein hun nihan kahin mere sath chal
kabhi chand par kabhi phul mein kabhi KHak mein
mujhe yun na bhej kahin kahin mere sath chal
main chali suKHan liye gulsitan mere sath aa
meri soch ke wahin sab nagin mere sath chal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.