Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere ham-suKHan mere ham-nawa teri KHair ho

Umair Ali Anjum

mere ham-suKHan mere ham-nawa teri KHair ho

Umair Ali Anjum

MORE BYUmair Ali Anjum

    mire ham-suḳhan mire ham-navā tirī ḳhair ho

    visāl-rut meñ judā huā tirī ḳhair ho

    mire dard terī 'atā sahī maiñ ḳhafā sahī

    tire haq meñ kartā huuñ maiñ du'ā tirī ḳhair ho

    tujhe saare shahr ko chhoḌ kar thā chunā kabhī

    haath ham se chhuḌā gayā tirī ḳhair ho

    koī tujh se shikva gila karūñ na milā karūñ

    mirā zarf nahīñ māntā tirī ḳhair ho

    vo to kar rahā thā judā.iyoñ vazāhateñ

    mirā sirf ek javāb thā tirī ḳhair ho

    na nazar nazar meñ de sadā mujhe bhuul

    nahīñ mujh meñ ab nahīñ hausla tirī ḳhair ho

    ye nadāmateñ na dikhā mujhe na satā mujhe

    tujhe faqīr ne kah diyā tirī ḳhair ho

    mere ham-suKHan mere ham-nawa teri KHair ho

    tu visal-rut mein juda hua teri KHair ho

    mere dard teri 'ata sahi main KHafa sahi

    tere haq mein karta hun main du'a teri KHair ho

    tujhe sare shahr ko chhoD kar tha chuna kabhi

    tu hi hath hum se chhuDa gaya teri KHair ho

    koi tujh se shikwa gila karun na mila karun

    mera zarf hi nahin manta teri KHair ho

    wo to kar raha tha judaiyon ki wazahaten

    mera sirf ek jawab tha teri KHair ho

    na nazar nazar mein tu de sada mujhe bhul ja

    nahin mujh mein ab nahin hausla teri KHair ho

    ye nadamaten na dikha mujhe na sata mujhe

    ja tujhe faqir ne kah diya teri KHair ho

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now