Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere hi jaisa mere dar pe ek sawali hai

Shahid Ahmad Shoaib

mere hi jaisa mere dar pe ek sawali hai

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    mire jaisā mire dar pe ik savālī hai

    maiñ kyā karūñ ki mirā haath ḳhud ḳhālī hai

    abhī bhī duur hai sabze se kisht-zār-e-umīd

    ki ab ke saal bhī pahlī ḳhushk-sālī hai

    tire qarīb na aate ki terī qurbat meñ

    kise ḳhabar thī ki is tarah pā.emālī hai

    talāsh ham ko bhī hai apne āsmānoñ

    ḳhalā meñ ham ne bhī apnī zamīñ uchhālī hai

    har ek lamha na.e zalzaloñ se laḌte haiñ

    kisī ne mamlikat-e-dil na yuuñ sañbhālī hai

    jalā chukā huuñ maiñ saare anāsir-e-ehsās

    zarā jaan magar maiñ ne kyoñ bachā hai

    vo qatl ho gayā āḳhir manāo jashn 'sho.aib'

    tumheñ thā vahm ki phir ab ke vaar ḳhālī hai

    mere hi jaisa mere dar pe ek sawali hai

    main kya karun ki mera hath KHud hi KHali hai

    abhi bhi dur hai sabze se kisht-zar-e-umid

    ki ab ke sal bhi pahli si KHushk-sali hai

    tere qarib na aate ki teri qurbat mein

    kise KHabar thi ki is tarah paemali hai

    talash hum ko bhi hai apne aasmanon ki

    KHala mein hum ne bhi apni zamin uchhaali hai

    har ek lamha nae zalzalon se laDte hain

    kisi ne mamlikat-e-dil na yun sanbhaali hai

    jala chuka hun main sare anasir-e-ehsas

    zara si jaan magar main ne kyon bacha li hai

    wo qatl ho gaya aaKHir manao jashn 'shoaib'

    tumhein tha wahm ki phir ab ke war KHali hai

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now