mere hijr ka tu ilaj kar koi hal bata mere saiyan
mire hijr kā tū 'ilāj kar koī hal batā mire sā.iyāñ
mire karb kī mire dard kī koī kar davā mire sā.iyāñ
mujhe dekh jā mire chārāgar maiñ tirī nazar kā shikār huuñ
kahāñ kyoñ huā kahāñ kyā huā na mujhe sunā mire sā.iyāñ
zarā haath rakh ke tū haath par mirī dhaḌkanoñ ko qarār de
mujhe reza-reza sameT kar tū gale lagā mire sā.iyāñ
na batā mujhe ki zamāne ne tujhe kaise mujh se judā kiyā
tujhe 'ishq hai jo abhī talak mire paas aa mire sā.iyāñ
mire hausle ko tū daad de mire husn-e-zan pe tū jaan de
maiñ yahī rahā sadā sochtā tū hai be-ḳhatā mire sā.iyāñ
tire chauñkne se pata chalā mirā naam ab bhī 'azīz hai
mire zikr par jo jhukā hai ab zarā sar uThā mire sā.iyāñ
mujhe shauq-e-lutf se dekh kar na to kar ishāre fareb ke
yuuñ palaT palaT ke na baat kar na yahāñ se jā mire sā.iyāñ
mere hijr ka tu 'ilaj kar koi hal bata mere saiyan
mere karb ki mere dard ki koi kar dawa mere saiyan
mujhe dekh ja mere chaaragar main teri nazar ka shikar hun
kahan kyon hua kahan kya hua na mujhe suna mere saiyan
zara hath rakh ke tu hath par meri dhaDkanon ko qarar de
mujhe reza-reza sameT kar tu gale laga mere saiyan
na bata mujhe ki zamane ne tujhe kaise mujh se juda kiya
tujhe 'ishq hai jo abhi talak mere pas aa mere saiyan
mere hausle ko tu dad de mere husn-e-zan pe tu jaan de
main yahi raha sada sochta tu hai be-KHata mere saiyan
tere chaunkne se pata chala mera nam ab bhi 'aziz hai
mere zikr par jo jhuka hai ab zara sar uTha mere saiyan
mujhe shauq-e-lutf se dekh kar na to kar ishaare fareb ke
yun palaT palaT ke na baat kar na yahan se ja mere saiyan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.