mere jab tak ki dam mein dam rahega
mire jab tak ki dam meñ dam rahegā
yahī ronā yahī mātam rahegā
kahāñ tak ye ġhurūr-e-husn zālim
hamesha kyā yahī aalam rahegā
yahī sozish hai dāġhoñ kī to kyūñ-kar
salāmat pamba-e-marham rahegā
judā jab tak huuñ ai be-dard tujh se
yahī dard aur dil bāham rahegā
agar yūñhī rahegī hairat-e-ishq
agar ye dīda-e-nam nam rahegā
ba-rañg-e-shabnam aa kar qatra-e-ishq
hamārī har mizha par jam rahegā
mere jab tak ki dam mein dam rahega
yahi rona yahi matam rahega
kahan tak ye ghurur-e-husn zalim
hamesha kya yahi aalam rahega
yahi sozish hai daghon ki to kyun-kar
salamat pamba-e-marham rahega
juda jab tak hun ai be-dard tujh se
yahi dard aur dil baham rahega
agar yunhi rahegi hairat-e-ishq
agar ye dida-e-nam nam rahega
ba-rang-e-shabnam aa kar qatra-e-ishq
hamari har mizha par jam rahega
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.