mere jazbaat-e-rangin ki farawani nahin jati
mire jazbāt-e-rañgīñ kī farāvānī nahīñ jaatī
ki āñkhoñ se tire jalve kī tābānī nahīñ jaatī
faroġh-e-husn hai yā merī nazroñ kī ye ḳhāmī hai
ba-har-sūrat tirī tasvīr pahchānī nahīñ jaatī
mohabbat aap kī dil se bhulā duuñ kis tarah kyuuñ kar
ba-mushkil shai jo aa.ī ho ba-āsānī nahīñ jaatī
kahāñ tū khīñch laayā ai mazāq-e-āshiqī mujh ko
jahāñ mujh se mirī tasvīr pahchānī nahīñ jaatī
mujhe tark-e-ta.alluq par na kar majbūr ai nāseh
ḳhilāf-e-aql koī baat ho maanī nahīñ jaatī
tumhāre jaur-e-behad ne ye baḳhshā hai sharaf mujh ko
shikast-e-dil kī bhī āvāz pahchānī nahīñ jaatī
koī 'sābir' se dīvāne ko samjhā.e bhalā kyuuñ kar
parastār-e-junūñ kī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
mere jazbaat-e-rangin ki farawani nahin jati
ki aankhon se tere jalwe ki tabani nahin jati
farogh-e-husn hai ya meri nazron ki ye KHami hai
ba-har-surat teri taswir pahchani nahin jati
mohabbat aap ki dil se bhula dun kis tarah kyun kar
ba-mushkil shai jo aai ho ba-asani nahin jati
kahan tu khinch laya ai mazaq-e-ashiqi mujh ko
jahan mujh se meri taswir pahchani nahin jati
mujhe tark-e-talluq par na kar majbur ai naseh
KHilaf-e-aql koi baat ho mani nahin jati
tumhaare jaur-e-behad ne ye baKHsha hai sharaf mujh ko
shikast-e-dil ki bhi aawaz pahchani nahin jati
koi 'sabir' se diwane ko samjhae bhala kyun kar
parastar-e-junun ki chaak-damani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.