mere junun ke fasane badalte rahte hain
mire junūñ ke fasāne badalte rahte haiñ
ki ḳhvāb lamhe suhāne badalte rahte haiñ
na badlā aaj bhī mafhūm haqq-o-bātil kā
ye aur baat zamāne badalte rahte haiñ
maiñ un ke tiir kā hañs kar javāb detā huuñ
mire aziiz nishāne badalte rahte haiñ
faqīr kachche makānoñ meñ mast haiñ lekin
amiir log Thikāne badalte rahte haiñ
pata maiñ kaise rakhūñ yaad un kā ai 'shākir'
jo roz roz Thikāne badalte rahte haiñ
mere junun ke fasane badalte rahte hain
ki KHwab lamhe suhane badalte rahte hain
na badla aaj bhi mafhum haqq-o-baatil ka
ye aur baat zamane badalte rahte hain
main un ke tir ka hans kar jawab deta hun
mere aziz nishane badalte rahte hain
faqir kachche makanon mein mast hain lekin
amir log Thikane badalte rahte hain
pata main kaise rakhun yaad un ka ai 'shakir'
jo roz roz Thikane badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.