Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere junun ko hai tufan-e-rang-o-bu ki talash

Ehsan Nanparwi

mere junun ko hai tufan-e-rang-o-bu ki talash

Ehsan Nanparwi

MORE BYEhsan Nanparwi

    mire junūñ ko hai tūfān-e-rang-o-bū talāsh

    faroġh-e-ātish-e-gul ko mire lahū talāsh

    ḳhirad ḳhīra-mazāqī junūñ jaulānī

    hai zaḳhm-e-sozan-e-ġham rishta-e-rafū talāsh

    urūs-e-gul to abhī hajla-e-ḳhayāl meñ hai

    ki shāḳh-e-gul ko hai sad-joshish-e-numū talāsh

    hai sust-gām bahut kārvān-e-shauq abhī

    rahīl-e-vaqt ko sargarm-e-justujū talāsh

    azal se misl-e-zamīñ gardish-e-mudām meñ hai

    ajab hai zarra-e-shorīda-ārzū talāsh

    atā-e-ishq hai sahbā-e-ābgīna-guzār

    nahīñ mujhe kisī paimāna-o-subū talāsh

    mere junun ko hai tufan-e-rang-o-bu ki talash

    farogh-e-atish-e-gul ko mere lahu ki talash

    KHirad ki KHira-mazaqi junun ki jaulani

    hai zaKHm-e-sozan-e-gham rishta-e-rafu ki talash

    urus-e-gul to abhi hajla-e-KHayal mein hai

    ki shaKH-e-gul ko hai sad-joshish-e-numu ki talash

    hai sust-gam bahut karwan-e-shauq abhi

    rahil-e-waqt ko sargarm-e-justuju ki talash

    azal se misl-e-zamin gardish-e-mudam mein hai

    ajab hai zarra-e-shorida-arzu ki talash

    ata-e-ishq hai sahba-e-abgina-guzar

    nahin mujhe kisi paimana-o-subu ki talash

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now