mere kandhon ke bilkul darmiyan rakkha gaya hai
mire kāñdhoñ ke bilkul darmiyāñ rakkhā gayā hai
mirā chehrā mirā jhūTā nishāñ rakkhā gayā hai
maiñ ab āñkhoñ meñ āñkheñ Daal kar kartī huuñ bāteñ
mujhe sadiyoñ se itnā be-zabāñ rakkhā gayā hai
banā kar ek peshānī phir us ne had banā.ī
phir us kā naam us se kahkashāñ rakkhā gayā hai
maiñ yūñhī to nahīñ ḳhud se hī bāhar aa ga.ī huuñ
mire sar par koī to āsmāñ rakkhā gayā hai
maiñ kyuuñ jazbāt se aarī kisī shai ko kahūñ dil
mire pahlūñ meñ koī be-amāñ rakkhā gayā
mere kandhon ke bilkul darmiyan rakkha gaya hai
mera chehra mera jhuTa nishan rakkha gaya hai
main ab aankhon mein aankhen Dal kar karti hun baaten
mujhe sadiyon se itna be-zaban rakkha gaya hai
bana kar ek peshani phir us ne had banai
phir us ka nam us se kahkashan rakkha gaya hai
main yunhi to nahin KHud se hi bahar aa gai hun
mere sar par koi to aasman rakkha gaya hai
main kyun jazbaat se aari kisi shai ko kahun dil
mere pahlun mein koi be-aman rakkha gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.