Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

mere kahe pe kabhi aaj tak chala bhi nahin

Shahid Ahmad Shoaib

mere kahe pe kabhi aaj tak chala bhi nahin

Shahid Ahmad Shoaib

MORE BYShahid Ahmad Shoaib

    mire kahe pe kabhī aaj tak chalā bhī nahīñ

    na jaane kaun hai vo saath chhoḌtā bhī nahīñ

    ye shahr-e-saut-o-sadā hai na hai ye dasht-e-sukūt

    yahāñ se bach ke nikalne rāsta bhī nahīñ

    ajiib aag thī har chiiz jal ke raakh huī

    maiñ bad-nasīb thā is aag meñ jalā bhī nahīñ

    siyāh rātoñ meñ har shai Dubo chukā huuñ magar

    vo ek dard sūraj ki Dūbtā bhī nahīñ

    sabhī guzarte haiñ ik lamha dekh kar ham ko

    hamārā naam pata koī pūchhtā bhī nahīñ

    mere kahe pe kabhi aaj tak chala bhi nahin

    na jaane kaun hai wo sath chhoDta bhi nahin

    ye shahr-e-saut-o-sada hai na hai ye dasht-e-sukut

    yahan se bach ke nikalne ka rasta bhi nahin

    ajib aag thi har chiz jal ke rakh hui

    main bad-nasib tha is aag mein jala bhi nahin

    siyah raaton mein har shai Dubo chuka hun magar

    wo ek dard ka suraj ki Dubta bhi nahin

    sabhi guzarte hain ek lamha dekh kar hum ko

    hamara nam pata koi puchhta bhi nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now