mere kahne mein paTwari nahin hai
mire kahne meñ paTvārī nahīñ hai
zamīñ merī hai sarkārī nahīñ hai
samundar tū huā khārī to kaise
nadī jab koī bhī khārī nahīñ hai
bhale ilzām ḳhud par le liyā hai
magar ġhalatī mirī saarī nahīñ hai
zamīñ par chāhe kuchh ban jā tū lekin
ḳhudā banñā samajhdārī nahīñ hai
dikhā.ūñ to hunar kaise maiñ 'kalkal'
abhī aa.ī mirī baarī nahīñ hai
mere kahne mein paTwari nahin hai
zamin meri hai sarkari nahin hai
samundar tu hua khaari to kaise
nadi jab koi bhi khaari nahin hai
bhale ilzam KHud par le liya hai
magar ghalati meri sari nahin hai
zamin par chahe kuchh ban ja tu lekin
KHuda banna samajhdari nahin hai
dikhaun to hunar kaise main 'kalkal'
abhi aai meri bari nahin hai
- Book : Munderon Per Charagh (Pg. 81)
- Author : Rajender Kalkal
- Publication : Amrit Parkashan, Delhi (2016)
- Edition : 2016
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.